ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log
daulat ko sar ka taj batane lage hain log
tahzib-e-shahr kitni badal di hai waqt ne
apni riwayaton ko bhulane lage hain log
allah un ki aql ka parda zara haTa
phir apni beTiyon ko jalane lage hain log
had ho chuki hai ab to mere inkisar ki
kamtar samajh ke mujh ko satane lage hain log
ilzam sara apne muqaddar pe Dal kar
nakaamiyon ko apni chhupane lage hain log
sachchai ka alam mere hathon mein dekh kar
basti mein kitna shor machane lage hain log
maujon se laDte laDte jo sahil tak aa gaya
ehsan us pe apna jatane lage hain log
Ghazal
Ghurbat ka ab mazaq uDane lage hain log
Mohammad Ali Sahil