اردو हिंदी
Ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya | Shaahi Shayari
ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya

Ghazal

Ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya

Ali Akbar Natiq

;

ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya
phul walon ki gali mein gul tamasha ho gaya

hum ne dekhin dhup ki saDkon pe jis ki wahshaten
raat ke sine se lag kar aaKHirash wo so gaya

aasman ke rauzanon se lauT aata tha kabhi
wo kabutar ek haweli ke chhajon mein kho gaya

ek gali ke nur ne tarik kitne ghar kiye
wo na lauTa shaKHs bina aankhen le kar jo gaya