اردو हिंदी
Gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main | Shaahi Shayari
gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main

Ghazal

Gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main

Abdul Hamid Adam

;

gunah-e-jurat-e-tadbir kar raha hun main
ye kis qimash ki taqsir kar raha hun main

main jaanta hun alamat hai zoaf himmat ki
jise nasib se tabir kar raha hun main

abhi tadabbur-o-tadbir ka nahin mauqa
abhi himayat-e-taqdir kar raha hun main

hujum-e-hashr mein kholunga adl ka daftar
abhi to faisle tahrir kar raha hun main

jawab dene ki aadat nahin KHuda ko agar
to kya parastish-e-taswir kar raha hun main

tabah ho ke haqaeq ke khurdure-pan se
tasawwuraat ki tamir kar raha hun main

KHuda ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insan
ghalat maqam pe taqrir kar raha hun main