guman tha ya teri KHushbu yaqin ab bhi nahin
nahin hawa pe bharosa to kuchh ajab bhi nahin
khilen to kaise khilen phul ujaD sahra mein
sahab-e-KHwab nahin girya-e-talab bhi nahin
hansi mein chhup na saki aansuon se dhul na saki
ajab udasi hai jis ka koi sabab bhi nahin
Thahar gaya hai mere dil mein ek zamane se
wo waqt jis ki sahar bhi nahin hai shab bhi nahin
tamam umr tere iltifat ko tarsa
wo shaKHs jo hadaf-e-nawak-e-ghazab bhi nahin
gila karo to wo kahte hain yun raho jaise
tumhaare chehron pe aankhen nahin hain lab bhi nahin
mufahamat na kar arzan na ho bharam na ganwa
har ek nafas ho agar ek salib tab bhi nahin
bura na man 'ziya' us ki saf-goi ka
jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin
Ghazal
Guman tha ya teri KHushbu yaqin ab bhi nahin
Zia Jalandhari