اردو हिंदी
Gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe | Shaahi Shayari
gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe

Ghazal

Gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe

Asghar Gondvi

;

gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe
milti hai ab unhin se kuchh apni KHabar mujhe

nalon se main ne aag laga di jahan mein
sayyaad jaanta tha faqat musht-e-par mujhe

allah re un ke jalwe ki hairat-fazaiyan
ye haal hai ki kuchh nahin aata nazar mujhe

mana harim-e-naz ka paya buland hai
le jaega uchhaal ke dard-e-jigar mujhe

aisa ki but-kade ka jise raaz ho supurd
ahl-e-haram mein koi na aaya nazar mujhe

kya dard-e-hijr aur ye kya lazzat-e-visal
is se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe

mast-e-shabab wo hain main sarshaar-e-ishq hun
meri KHabar unhen hai na un ki KHabar mujhe

jab asl is majaz o haqiqat ki ek hai
phir kyun phira rahe hain idhar se udhar mujhe