gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi
jab koi kali jaur KHizan ke na sahegi
insan se nafrat ke sharar bujh ke rahenge
sadiyon ki ye diwar kisi din to Dhahegi
jis bap ne aulad ki bahbud na sochi
us bap ko aulad ayan hai jo kahegi
tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein
ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi
puKHta tera aiwan ki mera kachcha makan hai
sailab 'sharif' aaya to har chiz bahegi
Ghazal
Gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi
Sharif kunjahi