gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum
kahti hai ye hans kar subh-e-KHizan sab naz-e-abas ek KHwab hain hum
kis mah-e-laqa ke ishq mein yun bechain hain hum betab hain hum
kirnon ki tarah aawara hain hum taron ki tarah be-KHwab hain hum
miT jaane pe bhi masrur hain hum murjhane pe bhi shadab hain hum
shahba-e-shabab-o-ishq ka ek bhula hua rangin KHwab hain hum
fitrat ke jamal-e-rangin se hum ne bhi uThae hain parde
barbat hai agar firdaus-e-jahan to is ke liye mizrab hain hum
KHush-waqti hai wajh-e-ranj-o-alam gulzar-e-jahan mein ai hamdam
tair na pukaren shad hain hum ghunche na kahen shadab hain hum
milne pe gar aaen koi makan KHali nahin apne jalwon se
aur gosha-nashin ho jaen agar kamyab nahin nayab hain hum
do din ke liye hum aae hain ek shab ki jawani lae hain
firdaus-e-sara-e-hasti mein hum rang-e-gul-e-mahtab hain hum
ruswai-e-sher-o-ishq ne wo rutba hamein 'aKHtar' baKHsha hai
faKHr-e-dakan-o-bangal hain hum naz-e-awadh-o-panjab hain hum
Ghazal
Gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum
Akhtar Shirani