gulon si guftugu karen qayamaton ke darmiyan
hum aise log ab milen hikayaton ke darmiyan
lahuluhan ungliyan hain aur chup khaDi hun main
gul o saman ki be-panah chahaton ke darmiyan
hatheliyon ki oT hi charagh le chalun abhi
abhi sahar ka zikr hai riwayaton ke darmiyan
jo dil mein thi nigah si nigah mein kiran si thi
wo dastan ulajh gai wazahaton ke darmiyan
sahifa-e-hayat mein jahan jahan likhi gai
likhi gai hadis-e-jaan jarahaton ke darmiyan
koi nagar koi gali shajar ki chhanw hi sahi
ye zindagi na kaT sake masafaton ke darmiyan
ab us ke KHal-o-KHad ka rang mujh se puchhna abas
nigah jhapak jhapak gai iradaton ke darmiyan
saba ka hath tham kar 'ada' na chal sakogi tum
tamam umr KHwab KHwab saaton ke darmiyan
Ghazal
Gulon si guftugu karen qayamaton ke darmiyan
Ada Jafri