gulon se wasl ke paiman hawa ne likkhe the
nasib-e-shaKH magar taziyane likkhe the
tera visal hi zarKHeziyon ka lamha tha
phir is ke baad to banjar zamane likkhe the
kabhi to paDhta mera shahryar bhi un ko
jo baam-o-dar pe nawishte qaza ne likkhe the
saron se girne lagin jab hamari dastaren
in aandhiyon mein hamein sar bachane likkhe the
tamam umr meri sogwar guzri hai
nasib mere kisi karbala ne likkhe the
main manta hi nahin waizon ka ye maslak
ki is tarah hi mere din KHuda ne likkhe the
Ghazal
Gulon se wasl ke paiman hawa ne likkhe the
Mahmood Rahim