اردو हिंदी
Gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT | Shaahi Shayari
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

Ghazal

Gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

Habeeb Musvi

;

gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT

kushud-e-kar ki koshish mein de na hirs ko daKHl
shikast deti hai faujon ko kar-zar mein luT

lubhae saikDon dil un ke KHal-e-ariz ne
machae zangiyon ne wadi-e-tatar mein luT

wo muntazim hai rahe jis ki juz-o-kul pe nazar
na kar sake koi gungir karobar mein luT

jahan mein hoti hai ehsan ki jaza ehsan
sawab nekiyon ke daur-e-iKHtiyar mein luT

abas hai bund ka chuka agar ghaDe Dhalkae
hamesha naqd mein wara hai yan udhaar mein luT

kiye hain sheb ne sab jism ke qawa kamzor
shurua ho gai har samt is hisar mein luT

hujum-e-yas mein chhoD ai ummid kishwar-e-dil
hai qatl-e-am ka ghul shahr mein jawar mein luT

bane wo fateh-e-kaunain KHush ho tu jis se
zyaada ganj-e-kawakib se ho shumar mein luT

dayar-e-dil mein hai phir dagh-e-ishq ka toDa
junun mata-e-hawas mausam-e-bahaar mein luT

bhari hai taza har ek sar mein shor-o-shar ki hawa
ajab nahin jo mache bagh-e-rozgar mein luT

'habib' mashq-e-riyazat se kho ke zang-e-dui
maze visal ke har dam firaq-e-yar mein luT