اردو हिंदी
Gulabi honTh ye qashqa tumhaara | Shaahi Shayari
gulabi honTh ye qashqa tumhaara

Ghazal

Gulabi honTh ye qashqa tumhaara

Raghunandan Sharma

;

gulabi honTh ye qashqa tumhaara
mujhe bhane laga chehra tumhaara

labon ko paD gai aadat labon ki
bahut mahnga paDa bosa tumhaara

makan-e-jism yun to Dah gaya par
qayamat Dha raha malba tumhaara

main jab bhi sochta hun KHud-kushi ki
bachata hai mujhe chehra tumhaara

hamein bichhDe hue arsa hua par
abhi tak dil mein hai nashsha tumhaara