gulab tha na kanwal phir badan wo kaisa tha
ki jis ka lams bahaaron mein rang bharta tha
jahan pe sada-dili ke makin the kuchh paikar
wo jhonpaDa tha magar pur-shikoh kitna tha
masham-e-jaan se guzarti rahi hai taza hawa
tera KHayal khule aasaman jaisa tha
usi ke hath mein tamghe hain kal jo maidan mein
hamari chhanw mein apna bachao karta tha
ye sach hai rang badalta tha wo har ek lamha
magar wahi to bahut kaamyab chehra tha
har ek nadi se kaDi pyas le ke wo guzra
ye aur baat ki wo KHud bhi ek dariya tha
wo ek jast mein nazron se dur tha 'amabar'
KHala mein sirf sunahra ghubar phaila tha
Ghazal
Gulab tha na kanwal phir badan wo kaisa tha
Ambar Bahraichi