اردو हिंदी
Gul zaKHm ko aansu ko guhar humne kaha hai | Shaahi Shayari
gul zaKHm ko aansu ko guhar humne kaha hai

Ghazal

Gul zaKHm ko aansu ko guhar humne kaha hai

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

gul zaKHm ko aansu ko guhar hum ne kaha hai
har aib-e-mohabbat ko hunar hum ne kaha hai

ranai-e-jalwa ko ba-sad husn-e-tayaqqun
KHud apna hi ek aks-e-nazar hum ne kaha hai

kuchh baat to hai jis ke sabab sare jahan mein
ai dost tujhe KHuld-nazar hum ne kaha hai

kahne ko rah-e-shauq mein rahi to bahut the
manzil ko magar gard-e-safar hum ne kaha hai

ho jin se gham-e-tirgi-e-shab ka mudawa
aise hi ujalon ko sahar hum ne kaha hai

haq-goi ka anjam samajh kar bhi ai 'mansha'
jo kahna tha be-KHauf-o-KHatar hum ne kaha hai