gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
kya zid hai mere sath KHuda jaane wagarna
kafi hai tasalli ko meri ek nazar bhi
ai abr qasam hai tujhe rone ki hamare
tujh chashm se Tapka hai kabhu laKHt-e-jigar bhi
ai nala sad afsos jawan marne pe tere
paya na tanik dekhne tin ru-e-asar bhi
kis hasti-e-mauhum pe nazan hai tu ai yar
kuchh apne shab-o-roz ki hai tuj ko KHabar bhi
tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh
rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi
'sauda' teri fariyaad se aankhon mein kaTi raat
aai hai sahar hone ko Tuk tu kahin mar bhi
Ghazal
Gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
Sauda Mohammad Rafi