gul ko mahbub ham-qayas kiya
farq nikla bahut jo bas kiya
dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam ka ru-shanas kiya
kuchh nahin sujhta hamein us bin
shauq ne hum ko be-hawas kiya
ishq mein hum hue na diwane
qais ki aabru ka pas kiya
daur se charKH ke nikal na sake
zof ne hum ko murtas kiya
subh tak shama sar ko dhunti rahi
kya patinge ne iltimas kiya
tujh se kya kya tawaqqoen thin hamein
so tere zulm ne niras kiya
aise wahshi kahan hain ai KHuban
'mir' ko tum abas udas kiya
Ghazal
Gul ko mahbub ham-qayas kiya
Mir Taqi Mir