اردو हिंदी
Gul hai zaKHmi bahaar ke hathon | Shaahi Shayari
gul hai zaKHmi bahaar ke hathon

Ghazal

Gul hai zaKHmi bahaar ke hathon

Meer Hasan

;

gul hai zaKHmi bahaar ke hathon
dil hai sad-chaak yar ke hathon

dam-ba-dam qata hoti jati hai
umr lail-o-nahaar ke hathon

jaan-ba-lab ho raha hun misl-e-habab
main tere intizar ke hathon

ek dam bhi mila na hum ko qarar
is dil-e-be-qarar ke hathon

apni sar-gashtagi kabhi na gai
gardish-e-rozgar ke hathon

ek shagufa uThe hai roz naya
is dil-e-dagh-dar ke hathon

dil pe kya kya hue hain naqsh-o-nigar
nawak-e-dil-figar ke hathon

ho raha hai KHarab KHana-e-dil
dida-e-ashk-bar ke hathon

gar kabhi lag gaya tera daman
meri musht-e-ghubar ke hathon

chhuTna hai phir us ka amr-e-muhaal
is tere KHaksar ke hathon

ek dil KHar KHar hun main 'hasan'
apne us gul-ezar ke hathon