gul-e-virana hun koi nahin hai qadr-dan mera
tu hi dekh ai mere KHallaq husn-e-raegan mera
ye kah kar ruh nikli hai tan-e-ashiq se furqat mein
mujhe ujlat hai baDh jae na aage karwan mera
hawa us ko uDa le jae ab ya phunk de bijli
hifazat kar nahin sakta meri jab aashiyan mera
zamin par bar hun aur aasman se dur ai malik
nahin malum kuchh aaKHir Thikana hai kahan mera
mujhe naghme ka lutf aata hai raaton ki KHamoshi mein
dil-e-shikasta hai ek saz-e-ahang fughan mera
wahin se ibtida-e-kucha-e-dildar ki had hai
qadam KHud chalte chalte aa ke ruk jae jahan mera
zara dur aur hai ai kashti-e-umr-e-rawan sahil
ki is bahr-e-jahan mein har nafas hai baadban mera
hui jati hai tanhai mein lazzat ruh ki zaea
luTa jata hai virane mein ganj-e-shaegan mera
anasir hanste hain duniya ki wusat muskuraati hai
kisi se puchhte hain ahl-e-binash jab nishan mera
mere baad aur phir koi nazar mujh sa nahin aata
bahut din tak rakkhenge sog ahl-e-KHandan mera
ghanimat hai nafas do chaar jo baqi hain ab warna
kabhi ka luT chuka sarmaya-e-sod-o-ziyan mera
abhi tak fasl-e-gul mein ek sada-e-dard aati hai
wahan ki KHak se pahle jahan tha aashiyan mera
'rawan' sach hai mohabbat ka asar zaea nahin hota
wo ro dete hain ab bhi zikr aata hai jahan mera
Ghazal
Gul-e-virana hun koi nahin hai qadr-dan mera
Jagat Mohan Lal Ravan