guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal
lauT aae hain sitaron ke safar se baadal
kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir
kale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal
raat ki kokh koi chand kahan se lae
ye zamin banjh hai barse ki na barse baadal
barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul
lae hain aag ke dastane safar se baadal
main ki hun dhup ka aazad parinda lekin
baal kyun noch rahe hain mere par se baadal
aaKHiri KHat to likhunga main lahu se KHud ko
ab bhi mayus jo lauTe tere dar se baadal
na kisi jism ka jadu na ghaTa gesu ki
'prem' kyun ruTh gae prem-nagar se baadal
Ghazal
Guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal
Prem Warbartani