gudaz tak hi KHarabi hunar sambhaalega
ye KHak-e-soKHta kab kuza-gar sambhaalega
KHatar-pazir hun us be-dili mein girya bhej
ye zalzala hi mere baam-o-dar sambhaalega
tu hi to ek sadaf-e-dil ki aabru hai magar
ye aab kitne dinon tak guhar sambhaalega
ye dekhna hai ki tufan-e-regzar mein tu
zamam-e-samt ki zad-e-safar sambhaalega
girani-e-shab-e-KHamosh-e-be-hisab ke baad
hisab jitna hai murgh-e-sahar sambhaalega
milao ishq mein kuchh ranj-e-rozgar se aab
bahut na baada-e-KHalis jigar sambhaalega
Ghazal
Gudaz tak hi KHarabi hunar sambhaalega
Mohammad Aazam