اردو हिंदी
Gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana | Shaahi Shayari
gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana

Ghazal

Gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana

Josh Malihabadi

;

gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana
mohabbat asl mein hai ruh ka bedar ho jaana

nawed-e-aish se ai dil zara hushyar ho jaana
kisi taza musibat ke liye tayyar ho jaana

wo un ke dil mein shauq-e-KHud-numai ka KHayal aana
wo har shai ka tabassum ke liye tayyar ho jaana

mizaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayamat hai
hamara aur wafa ke nam se be-zar ho jaana

sahar ka is tarah angDai lena dil-farebi se
udhar shair ke mahsusat ka bedar ho jaana

tawassul se tere dil mein bharunga quwwaten barqi
zara meri taraf bhi ai nigah-e-yar ho jaana

wo aaraish mein sab quwwat kisi ka sarf kar dena
tahammul mein wo har koshish meri bekar ho jaana

maaz-allah ab ye rang hai duniya ki mahfil ka
KHuda ka nam lena aur zalil o KHwar ho jaana

ragon se KHun sara zahr ban kar phuT niklega
zara ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyar ho jaana