ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane
nae zamanon mein aae tujh ko talash karte hue zamane
udas shamon ki sard raaton mein tere ushshaq dekhte hain
palak jhapakte hue darichon mein subh karte hue zamane
agar ye sab karobar-e-hasti teri tawajjoh se haT gaya hai
to phir ye kis ne sambhaal rakkhe hain sab bikharte hue zamane
bisat-e-imkan par taghayyur ka husn mohre badal raha hai
charagh-e-hairat ki lau mein zinda hain raqs karte hue zamane
zamin suraj ke gird apne madar mein ghumti hai jaise
teri gali ka tawaf karte hain yun guzarte hue zamane
Ghazal
Ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane
Saleem Kausar