ghubar-e-waqt ke gar aar-par dekhiyega
to ek pal mein mera shahsawar dekhiyega
main ek bar use pherunga apni gardan par
aur aap bas mere KHanjar ki dhaar dekhiyega
kisi ka naqsh nahin bandhiyega aankhon mein
jise bhi dekhiye aaina-war dekhiyega
kabhi na lauT ke aaenge aap jaanta hun
par aaiye to mera intizar dekhiyega
na dastaken na sada kaun dar pe aaya hai
faqir-e-shahr hai ya shahryar dekhiyega
Ghazal
Ghubar-e-waqt ke gar aar-par dekhiyega
Ahmad Shahryar