ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai
hamari bastiyon se roz ek lashkar nikalta hai
KHuda jaane kahan us ki rifaqat ho gai zaKHmi
ki shab mein ek parinda chiKHta aksar nikalta hai
mata-e-chashm-e-hairan ke siwa ab kuchh nahin baqi
dil-e-atish-girafta ka yahi jauhar nikalta hai
lahu pi kar zamin jab bhi nai karwaT badalti hai
kisi ka sar nikalta hai kisi ka ghar nikalta hai
hamari fath ke andaz duniya se nirale hain
ki parcham ki jagah neze pe apna sar nikalta hai
hamare shahr mein kam-qamaton ki bhiD aisi hai
usi ka qatl ho jata hai jis ka sar nikalta hai
nazar walon se mat puchho had-e-imkan kahan tak hai
kahin suraj nikalta hai kahin manzar nikalta hai
agar jine ki KHwahish hai jabin sang-ashna rakhna
ki har muKHlis ki muTThi mein yahan KHanjar nikalta hai
Ghazal
Ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai
Fasih Akmal