ghubar-e-rah bani main rah-e-ghubar mein hun
na jaane kaun hai main jis ke intizar mein hun
wo mujh se milne palaT kar zarur aaega
bahut zamane se ummid ke hisar mein hun
ye jabr-o-qadr ka chakkar azal se chalta hai
kabhi ye socha nahin kis ke iKHtiyar mein hun
ye log kaun hain kaise hain kuchh nahin malum
main bas hujum ka hissa hun kis shumar mein hun
mujhe bhi denge wo hissa ye kaise soch liya
main itni dur hun main kab khaDi qatar mein hun
main us ki hun wo mera hai bas itna kafi hai
nahin hai jit ki chahat mein mast haar mein hun
samajh ke bhi mujhe samjha nahin zamane ne
KHizan-rasida hun khoi magar bahaar mein hun
khaDi hun ishq-samundar ke main kinare par
chaDha hai ishq ka nashsha bahut KHumar mein hun
Ghazal
Ghubar-e-rah bani main rah-e-ghubar mein hun
Shahnaz Muzammil