ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameTa hai
dayar-e-sang mein shishe ka ghar sameTa hai
samundaron mein bhi suraj ne bo diye hain sarab
gae the sip uThane bhanwar sameTa hai
saubaton ki koi had na aaKHiri dekhi
har ek rah mein zad-e-safar sameTa hai
mohabbaton ne diya hai sadaqaton ka shuur
bikhar gaya hai jab ek bar ghar sameTa hai
hawa ke sath safar mein qabahaten thin bahut
misal-e-abr bikharta nagar sameTa hai
andheri raat mein suraj ki justuju ki hai
hawaon mein bhi charagh-e-nazar sameTa hai
jo shaKH shaKH parindon ka aashiyana tha
wo barg barg purana shajar sameTa hai
numu ke rab kabhi us munsifi ki dad to de
shajar koi na lagaya samar sameTa hai
Ghazal
Ghubar-e-jaan pas-e-diwar-o-dar sameTa hai
Azra Waheed