اردو हिंदी
Goshmali se kab unhon ne asar liya tha | Shaahi Shayari
goshmali se kab unhon ne asar liya tha

Ghazal

Goshmali se kab unhon ne asar liya tha

Khalid Iqbal Yasir

;

goshmali se kab unhon ne asar liya tha
sarkashon ko jo kaam karna tha kar liya tha

jab utar aae the wo badla utarne par
gin ke ek ek sar ke badle mein sar liya tha

panw chaukhaT se bahar us ne nahin nikale
jis ne wirse mein apni nabzon mein Dar liya tha

apne hathiyar taq mein gar saja diye the
kyun kisi aise shahr mein ja ke ghar liya tha

jis ne shorish mein fatah pai thi us ne yasir
bandiyon se haram-saraon ko bhar liya tha