god mein zarraat ki sar apna rakh kar so gaya
pyas ki dahliz par dariya ka manzar so gaya
kuchh nazar aata nahin aaina-e-ayyam mein
aks-e-hairat jag uTha KHwabon ka paikar so gaya
dard ko darman banane ka hunar rakhta tha wo
oDh kar jo waqt ki KHush-rang chadar so gaya
jis ka rishta tha jahan-e-agahi ke karb se
wo payam-e-amn ka hami kabutar ho gaya
hum hi gham-KHwar-e-tamanna the na soe subh tak
jab dar-o-diwar ko nind aa gai ghar so gaya
KHak uDti hai sar-e-sahn-e-tamanna chaar su
didani jo kuchh bhi tha manzar-ba-manzar so gaya
ahd-e-nau ne tabish-e-husn-e-rifaqat chhin li
qarya-e-jaan mein mohabbat ka samundar so gaya
mausam-e-saffak ne wo subh raushan ki hai 'naz'
qatra-e-shabnam sar-e-shaKH-e-gul-e-tar so gaya
Ghazal
God mein zarraat ki sar apna rakh kar so gaya
Naz Quadri