go maslak-e-taslim-o-raza bhi hai koi chiz
par ghairat-arbab-e-wafa bhi hai koi chiz
khulta hai har ek ghuncha-e-nau-josh-e-numu se
ye sach hai magar lams-e-hawa bhi hai koi chiz
ye be-ruKHi-e-fitrat mahbub ke shaki
itna bhi na samjhe ki ada bhi hai koi chiz
ibrat-kada-e-dahr mein ai tarik-e-duniya
lazzat-kada-e-jurm-o-KHata bhi hai koi chiz
lapkega gareban pe to mahsus karoge
ai ahl-e-duwal dast-e-gada bhi hai koi chiz
Ghazal
Go maslak-e-taslim-o-raza bhi hai koi chiz
Sahir Ludhianvi