اردو हिंदी
Go hun wahshi pa tere dar se na Tal jaunga | Shaahi Shayari
go hun wahshi pa tere dar se na Tal jaunga

Ghazal

Go hun wahshi pa tere dar se na Tal jaunga

Jurat Qalandar Bakhsh

;

go hun wahshi pa tere dar se na Tal jaunga
han magar dasht-e-adam hi ko nikal jaunga

tair-e-nama-bar apna yahi kahta hai ki aah
raqam-e-shauq ki garmi se main jal jaunga

jald ai kash jatawe use joban us ka
phir ho kis kaam ke tum jab ki main Dhal jaunga

aaj go us ne ba-ruswai nikala mujh ko
gar yahi dil hai to phir aap se kal jaunga

mashwara kar ke ye dil kucha-e-jaanan ko chala
azm to lane ka kijo main machal jaunga

gar yahi aatish-e-ulfat hai to manind-e-sipand
aah mein mujmir hasti se uchhal jaunga

nau-giraftar-e-mohabbat hun meri waza se tum
itna ghabrao na pyare main sambhal jaunga

wae qismat kahe jab sabr sa munis ye baat
tujh pe dekhunga bura waqt to Tal jaunga

jald KHu apni badal warna koi kar ke tilism
aa ke dil apna tere dil se badal jaunga

ji kahin tu na phansa warna tere dam se main
aab-e-ghirbaal ki manind nikal jaunga

jun hina apne wo qadmon se na lagne denge
is tamanna mein agar KHak mein ral jaunga

jate jate kaf-e-afsos isi hasrat mein
ashk bhar la ke dam-e-naza bhi mal jaunga

jin ke nazdik hai andaz-e-ghazal 'mir' pe KHatm
un ko 'jurat' main sunane ye ghazal jaunga