اردو हिंदी
Go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi | Shaahi Shayari
go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi

Ghazal

Go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi

Zia Fatehabadi

;

go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi
taKHrib mein shamil hai tamir ka saman bhi

mazhar tere jalwon ke maman meri wahshat ke
kohsar-o-gulistan bhi sahra-o-bayaban bhi

dam toDti maujen kya sahil ka pata dengi
Thahri hui kashti hai KHamosh hai tufan bhi

majbur-e-gham-e-duniya dil se to koi puchhe
ehsas ki rag mein hai KHar-e-gham-e-jaanan bhi

bughz-o-hasad-o-nafrat nakaami-o-mahrumi
insanon ki basti mein kya hai koi insan bhi

diwana-e-ulfat ko dar se tere milta hai
har zaKHm ka marham bhi har dard ka darman bhi

leti hai jab angDai bedar kiran koi
hota hai 'ziya' KHud hi raqsan bhi ghazal-KHwan bhi