girti hai to gir jae ye diwar-e-sukun bhi
jine ke liye chahiye thoDa sa junun bhi
ye kaisi ana hai mere andar ki musalsal
dekhun use lekin nazar-andaz karun bhi
khul kar to wo mujh se kabhi milta hi nahin hai
aur us se bichhaD jaane ka imkan hai yun bhi
aisi bhi koi KHas talluq ki faza ho
mahfil mein jab us ki na rahun aur rahun bhi
wo raaz jo bas us ki nigahon ne paDha hai
ji chahta hai main use honTon se kahun bhi
us waqt kahin ja ke ghazal hogi mukammal
aankhon se Tapak jae jo ek qatra-e-KHun bhi
Ghazal
Girti hai to gir jae ye diwar-e-sukun bhi
Ashfaq Husain