اردو हिंदी
Girta raha main rah mein lekin sambhal gaya | Shaahi Shayari
girta raha main rah mein lekin sambhal gaya

Ghazal

Girta raha main rah mein lekin sambhal gaya

Aditya Pant u0027Naaqidu0027

;

girta raha main rah mein lekin sambhal gaya
main aaj kis maqam ki jaanib nikal gaya

socha kiya tha rah ye aasan hai magar
pahle qadam pe panw mera kyun phisal gaya

adna sa ek fareb tha badla jo ye libas
aafat to tab paDi ki main jab KHud badal gaya

aankhen thi sharmsar kahin chain bhi nahin
us ke magar KHayal se ye dil bahal gaya

ho gar KHata saza ka muqarrar hai ek din
'naqid' zahe-nasib ki wo waqt Tal gaya