gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko
raushni si pas-e-diwar samajhiye hum ko
hum bhi aaKHir hain yake-az-mutawassit tabqa
maut ke baad bhi bimar samajhiye hum ko
bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
waqt masum-o-jari ruhon ke darpai hai 'fuzail'
zinda jab tak hain sar-e-dar samajhiye hum ko
Ghazal
Gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko
Fuzail Jafri