ginti mein be-shumar the kam kar diye gae
hum sath ke qabilon mein zam kar diye gae
pahle nisab-e-aql hua hum se intisab
phir yun hua ki qatl bhi hum kar diye gae
pahle lahuluhan kiya hum ko shahr ne
phir pairahan hamare alam kar diye gae
pahle hi kam thi qarya-e-jaanan mein raushni
aur us pe kuchh charagh bhi kam kar diye gae
is daur-e-na-shanas mein hum se arab-nazhad
lab kholne lage to ajam kar diye gae
Ghazal
Ginti mein be-shumar the kam kar diye gae
Alamtaab Tishna