gila nahin ki muKHalif mera zamana hua
main KHud hi chhoD ke kar-e-jahan rawana hua
main ab chala ki mera qafila rawana hua
kabhi phir aaunga wapas jo aab-o-dana hua
main bil-mushafa nahin jaanta kisi ko yahan
ki mujh se mera taaruf bhi ghaebana hua
hawa-e-gul bhi na pairon ki ban saki zanjir
bahaar mein bhi na ab ke koi diwana hua
jo reg zer-e-qadam aai ban gai sabza
ghubar sar pe jo aaya to shamiyana hua
kisi ko nok-e-sinan bhi zamir ki na chubhi
kisi ko ek ishaara hi taziyana hua
zamana khinch ke na kyun us ke pas jaega
wo aaali-jah hua sahib-e-KHazana hua
baras rahi hai meri chashm-e-nam to barson se
tahi na abr-e-guhar-bar ka KHazana hua
nazar mein sab ka ye manzar sameT lo 'mohsin'
sahar qarib hai ab KHatm ye fasana hua
Ghazal
Gila nahin ki muKhaalif mera zamana hua
Mohsin Zaidi