gil ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha
shoala sa andalib ki aawaz se uTha
nau-dast zaKHma-war ne miTa di had-e-kamal
parde jale tamam dhuan saz se uTha
jaise dua-e-nim-shabi ka surud ho
ek shor mai-kade mein is andaz se uTha
mahzar liye junun mein sawal-o-jawab ka
parda sa ek dida-e-ghammaz se uTha
baqi abhi hai tangi-o-wusat mein ek farq
is ko bhi jumbish-e-lab-e-eajaz se uTha
isyan sarisht-o-paki-e-daman ki ek dalil
kya lutf husn-e-tafraqaأpardaz se uTha
wo shaKHs tha muraqqa-e-mani ki ek zid
rang-e-hazar husn-e-junnun-saz se uTha
kanTe zamin se aur ziyaada hue tulua
ek masala bahaar ke aaghaz se uTha
banti mata-e-kashf to kya aaine ki chhuT
lazzat hi kuchh ishaara-e-ham-raaz se uTha
yarab tu laj rakh mere shauq-e-fuzul ki
duniya hai nind mein meri aawaz se uTha
ek manzar-e-kinara-e-baam aur de gaya
partaw sa koi us ke dar-baz se uTha
main kya ki mere baad bhi jo log wan gae
koi na us ki anjuman-e-naz se uTha
'madni' qafas mein subh hui aur us ke baad
dil se dhuan bhi hasrat-e-parwaz se uTha
Ghazal
Gil ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha
Aziz Hamid Madni