اردو हिंदी
Ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein | Shaahi Shayari
ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

Ghazal

Ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

Adil Mansuri

;

ghum raha tha ek shaKHs raat ke KHarzar mein
us ka lahu bhi mar gaya subh ke intizar mein

ruh ki KHushk pattiyan shaKH se TuTti rahin
aur ghaTa baras gai jism ke regzar mein

rang mein rang ghul gae aks ke shishe dhul gae
qaus-e-quzah pighal gai bhigi hui lagar mein

ThanDi saDak thi be-KHabar garm dinon ke qahr se
dhup ko jhelte rahe peD khaDe qatar mein

bahti hawa ki mauj mein tair rahe the sabz ghar
shahr ajib sa laga raat chaDhe KHumar mein

nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi
subh hui zamin par raat Dhali mazar mein

deta jawab kya koi mere siwa na tha koi
Dub ke rah gai sada tang siyah ghaar mein