ghum-phir kar isi kuche ki taraf aaenge
dil se nikle bhi agar hum to kahan jaenge
hum ko malum tha ye waqt bhi aa jaega
han magar ye nahin socha tha ki pachhtaenge
ye bhi tai hai ki jo boenge wo kaTenge yahan
aur ye bhi ki jo khoenge wahi paenge
kabhi fursat se milo to tumhein tafsil ke sath
imtiyaz-e-hawas-o-ishq bhi samjhaenge
kah chuke hum hamein itna hi faqat kahna tha
aap farmaiye kuchh aap bhi farmaenge
ek din KHud ko nazar aaenge hum bhi 'ajmal'
ek din apni hi aawaz se Takraenge
Ghazal
Ghum-phir kar isi kuche ki taraf aaenge
Ajmal Siraj