ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai
aadhi chhuTne ki hui tadbir aadhi rah gai
nim bismil ho ke main taDpa to wo kahne lage
chuk tujh se ho gai tazir aadhi rah gai
sham se thi aamad aamad nisf shab ko aae wo
yawari kar ke meri taqdir aadhi rah gai
nisf shahr us gesu-e-mushkin ne dil-basta kiya
KHusraw-e-tatar ki tauqir aadhi rah gai
chaudhwin shab na-mubarak mah-e-kaamil ko hui
nisf mansab ho gaya jagir aadhi rah gai
tez kab tak hogi kab tak baDh rakkhi jaegi
ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai
aadhe dhaD ka dam nikalta tha ki aaya KHatt-e-shauq
paDhte paDhte mar gae tahrir aadhi rah gai
rang phirne bhi na paya tha ki KHud-rafta hua
ban ke 'mani' se teri taswir aadhi rah gai
nisf shab tak di tasalli phir wo yusuf uTh gaya
KHwab-e-hasrat ki meri tabir aadhi rah gai
KHud kaha qatil se main ne phir dobara zabh kar
kaT ke jab gardan dam-e-takbir aadhi rah gai
dopahar raat aa chuki jab guftugu ki ishq ki
yar se aadhi hui taqrir aadhi rah gai
imtihan mein kundani rang un ka duna ho gaya
uDte uDte surKHi-e-iksir aadhi rah gai
ai pari-ru jald zindan mein 'sharaf' ki le KHabar
TukDe kar ke phenk di zanjir aadhi rah gai
Ghazal
Ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai
Agha Hajju Sharaf