ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan
jism ke reze uDati aandhiyon ke darmiyan
kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi
kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan
hum kahan yaro kahan wo mauja-e-baad-e-nasim
waqt ki pahnaiyan hail dilon ke darmiyan
dil pe guzri jo wo guzri shahr kyun viran hue
ek dahshat si hai phaili raston ke darmiyan
muddaa pinhan pas-e-alfaz hai jo paDh sako
kuchh nahin paoge tum in surKHiyon ke darmiyan
jaise KHushbu shahr mein sahra mein jaise chandni
yun bikhar jata hun mein tanhaiyon ke darmiyan
jis ki KHatir sher likhte ho kabhi paDhti bhi hai
kab talak uljhe rahoge qafiyon ke darmiyan
'sham'-ji bikhre kabhi is dil ke aangan mein mahak
zindagi guzregi kab tak aahaTon ke darmiyan
Ghazal
Ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan
Mahmood Shaam