ghaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai
ruKH-e-raushan ki tabani misali hoti jati hai
mere baKHt-e-siyah ke hashiye par raushni si hai
meri tarik shab kuchh phir ujali hoti jati hai
uThe jate hain dida-war sabhi aahista aahista
ye duniya mo'tabar logon se KHali hoti jati hai
wo meri anjuman par rang barsate hain kuchh aisa
ki har goshe ki ek ek shai nirali hoti jati hai
wo jinsiyyat-zada mahaul mein kya aur paega
jahan pakizgi ek shai KHayali hoti jati hai
'atiq' us dilruba ki har ada bar-haq sahi lekin
tumhaari koshish-e-paiham bhi aali hoti jati hai
Ghazal
GhaTa zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai
Ateeq Asar