اردو हिंदी
GhaTa sawan ki umDi aa rahi hai | Shaahi Shayari
ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai

Ghazal

GhaTa sawan ki umDi aa rahi hai

B S Jain Jauhar

;

ghaTa sawan ki umDi aa rahi hai
payam-e-ashk bhar bhar la rahi hai

ragon mein KHun gardish kar raha hai
jawani saz-e-dil par ga rahi hai

rulata hai unhen bhi kya ye sawan
mujhe kali ghaTa taDpa rahi hai

tarannum-KHez jamuna ke kinare
kisi ki yaad paiham aa rahi hai

ye aaKHir kaun hai jo chup khaDa hai
nazar har bar dhoka kha rahi hai

hum apne dil ka dukhDa ro rahe hain
tumhaari aankh jhapki ja rahi hai

tum apne dhyan mein Dubi hui ho
tumhaari oDhni lahra rahi hai

meri be-KHwab aankhon ko mubarak
ki aaKHir maut ki nind aa rahi hai