اردو हिंदी
Gharon mein yun ujala ho gaya hai | Shaahi Shayari
gharon mein yun ujala ho gaya hai

Ghazal

Gharon mein yun ujala ho gaya hai

Shabana zaidi shabeen

;

gharon mein yun ujala ho gaya hai
har ek zarra sharara ho gaya hai

nahin sunta koi shor-e-qayamat
zamana kitna bahra ho gaya hai

qaside ki nai tarif likkho
taaruf ab qasida ho gaya hai

bahut unchi hui diwar dil ki
ajab us ghar ka naqsha ho gaya hai

shaben gar sach kaho to jaan jao
ki kyun dil aaj tanha ho gaya hai