اردو हिंदी
Ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai | Shaahi Shayari
ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai

Ghazal

Ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai

Nasir Shahzad

;

ghar wale bhi soe hain abhi shab bhi ghani hai
aa jaana mere pichhe jahan nag-phani hai

ruswa hui kuchh tyag ke tu pyar ke sambandh
kuchh bais-e-tashhir meri be-watani hai

sau bar mera tera milan moh hua hai
kis naz kas andaz pe tu itna tani hai

aankhon ka subhaw hai ki subhon ki kanwalTa
palkon ka jhukaw hai ki neze ki ani hai

aaKHir kabhi tai hoga yunhi nit ka bichhaDna
tujh mujh mein kai jiwanon janmon se Thani hai

sirf ek se mohabbat nahin ab Thani hai dal ne
jo ji ko lubhae wahi hire ki kani hai