ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya
lekin tamam shahr ujale mein aa gaya
ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahaT hui to chand dariche mein aa gaya
honTon pe ghibaton ki KHarashen liye hue
ye kaun aainon ke qabile mein aa gaya
aandhi bhi bachpane ki hadon se guzar gai
mujh ko bhi lutf shama jalane mein aa gaya
kuchh der tak to us se meri guftugu rahi
phir ye hua ki wo mere lahje mein aa gaya
Ghazal
Ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya
Azhar Inayati