ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho
shayad aa jae samundar ko bula kar dekho
dasht ki aag baDi chiz hai aankhon ke liye
shahr bhi KHub hi jalta hai jala kar dekho
tum ne KHushbu se kabhi ahd-e-wafa bandha hai
raushni ko kabhi bistar mein liTa kar dekho
kis ne toDa hai zamin aur qadam ka rishta
aaj ki raat yahi khoj laga kar dekho
ye baraste hue baadal to na sone denge
koi bachpan ki kahani hi suna kar dekho
hijr achchha hai na ab us ka visal achchha hai
is liye aur kahin ishq laDa kar dekho

Ghazal
Ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho
Rais Farogh