اردو हिंदी
Ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle | Shaahi Shayari
ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle

Ghazal

Ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle

Khumar Qureshi

;

ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle
mauj-e-sad-rang mein be-KHwab jahan tha pahle

kis khanDar mein hamein mahbus hawa le aai
shab ke sine mein bhi mahfuz makan tha pahle

baadban kashtiyan phir mauj-e-hawa ki raunaq
kaun kis haal mein aur kaun kahan tha pahle

zina-e-sham pe rakkha hai charagh-e-KHasta
jis ki rag rag mein rawan zard dhuan tha pahle

ab taraf ta-ba-taraf chhai hai bas gum-shudagi
istiara hai alamat hai ayan tha pahle