ghar mein baiThun to shanasai bura manti hai
bahar aa jaun to tanhai bura manti hai
meri nadani dikhati hai karishme jab bhi
sahab-e-waqt ki danai bura manti hai
mah-o-anjum ki sawari pe nikalta hun jab
dasht-e-aflak ki pahnai bura manti hai
bahr ki tah mein utarta hun KHazanon ke liye
ye alag baat ki gahrai bura manti hai
jab mere zaKHm mahakte hain to 'tariq'-sahab
ibn-e-dauran ki masihai bura manti hai

Ghazal
Ghar mein baiThun to shanasai bura manti hai
Tariq Matin