اردو हिंदी
Ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana | Shaahi Shayari
ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana

Ghazal

Ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana

Aitbar Sajid

;

ghar ki dahliz se bazar mein mat aa jaana
tum kisi chashm-e-KHaridar mein mat aa jaana

KHak uDana inhin galiyon mein bhala lagta hai
chalte phirte kisi darbar mein mat aa jaana

yunhi KHushbu ki tarah phailte rahna har su
tum kisi dam-e-talabgar mein mat aa jaana

dur sahil pe khaDe rah ke tamasha karna
kisi ummid ke manjdhaar mein mat aa jaana

achchhe lagte ho ki KHud-sar nahin KHuddar ho tum
han simaT ke but-e-pindar mein mat aa jaana

chand kahta hun to matlab na ghalat lena tum
raat ko rauzan-e-diwar mein mat aa jaana