ghar hua gulshan hua sahra hua
har jagah mera junun ruswa hua
ghairat-e-ahl-e-chaman ko kya hua
chhoD aae aashiyan jalta hua
husn ka chehra bhi hai utra hua
aaj apne gham ka andaza hua
main to pahuncha Thokaren khata hua
manzilon par KHizr ka charcha hua
rahta hai mai-KHane hi ke aas-pas
shaiKH bhi hai aadmi pahuncha hua
pursish-e-gham aap rahne dijiye
ye tamasha hai mera dekha hua
ye imarat to ibaadat-gah hai
is jagah ek mai-kada tha kya hua
gham se nazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariya hai magar Thahra hua
is tarah rahbar ne luTa karwan
ai 'fana' rahzan ko bhi sadma hua
Ghazal
Ghar hua gulshan hua sahra hua
Fana Nizami Kanpuri